Search lyrics

Typing something do you want to search. Exam: Artist, Song, Album,Writer, Release Year...
if you want to find exactly, Please input keywords with double-quote or using multi keywords. Exam: "Keyword 1" "Keyword 2"

Atif Aslam Covers The Lengends - Mohammad Rafi & Kishore Kumar Lyrics - Singles - Atif Aslam

Akaash ka sona pan Mere tanha man mai 

Payal Chankaati tum Ajaao jeevan mai 

Saansen lekar apnee sangeet amar kardo 

Banjao meet mere meri preet amar kardo 

Jag ne cheena mujse mujhe jo bhi laga pyaara 

Sab jeeta kiye mujse main har dum hee haraa 

Tum haar ke dil apna meri jeet amar kardo 

Bunjao meet mere meri preet amar kardo 

Honto se cho lo tum mera geet amar kardo 

 

Kahin door Jab din dhal jaaye Saanj ki dulhan badan churaye Chupke se aye 

mere Khayaalon ke aangan mein koi sapanon ke deep jalaaye deep jalaaye 

kabhi yunhin jab huyi bojhal saansen bhar aayi baithe baithe jab yuhin aankhen 

tabhi machala ke pyaar se chal ke chhuye par mujhe koyi nazar na aaye nazar na aaye 

kahin door jab din dhal jaye saanjh ki dulhan badan churaaye chupake se aaye 

 

Related 

 

11 Delicious Misheard Lyrics About Food 

 

Queen's Bohemian Rhapsody video hits 1 billion views on YouTube 

 

NEW SONG: Blink-182 - 'Happy Days' Lyrics 

 

Yaad hai mujhko tune kaha tha Tumse nahi ruthenge kabhi 

Dil ki tarah se aaj mile hain Kaise bhala chootengey kabhi 

Meri baahon mein beeti har shaam bewafa yeh bhi kya yaad nahin 

Kya hua tera vaada woh kasam woh iraada 

Wo kehne waley mujhko fareebi Kon fareebi hai yeh bata 

Wo jisne gham liya pyaar ki khaatim ya jisne pyaar ko beech diya 

Nasha daulat ka aisa bhi kya Ke tujhey kuch bhi yaad nahi 

Kya hua tera vaada woh kasam woh iraada 

 

shama kahe parwane se, pare chala ja 

meri tarah jal jayega, yahaa nahee aa 

woo nahin sunta , usko jal jana hota hai 

har khushee se, har gam se, begaanaa hotaa hai 

pyaar diwaanaa hotaa hai, mastaanaa hotaa hai 

har khushee se, har gam se, begaanaa hotaa hai 

 

zindagi ke safar mein,guzar jate hain jo makam 

woh phir nahin aate, woh phir nahin aate 

phool khilte hain, log milte hain 

phool khilte hain, log milte hain yunhee 

patjhad main jo phool murjha jate hain 

woh baharon ke aane se khilte nahin 

kuchh log ek roz jo bichad jate hain 

woh hazaron ke aane se milte nahin 

ek baar chale jaate hai jo din raat subaah shaam 

woh phir nahi aate woh phir nahi aate! 

 

Yeh Jeevan Hai, Is Jeevan Ka 

Yahi Hai - Yahi Hai - Yahi Hai Rungroop 

Thode Ghum Hain, Thodi Khushiyan 

Yahi Hai - Yahi Hai - Yahi Hai Chaon Dhoop 

 

Main pal do pal ka shayar hoon 

Pal do pal meri kahani hai 

Pal do pal meri hasti hai 

Pal do pal meri jawani hai 

Main pal do pal ka shayar hoon 

 

Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayaal Aata Hai 

Ki Jaise Tujhko Banaya Gaya Hai Mere Liye 

Ki Jaise Tujhko Banaya Gaya Hai Mere Liye 

Tu Abse Pehle Sitaaron Mein Bas Rahi Thi Kahin 

Tu Abse Pehle Sitaaron Mein Bas Rahi Thi Kahin 

Tujhe Zameen Pe Bulaya Gaya Hai Mere Liye 

Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayaal Aata Hai 

Ki Jaise Bajti Hain Shehnaaiyaan Si Raahon Mein 

Ki Jaise Bajti Hain Shehnaaiyaan Si Raahon Mein 

Suhaag Raat Hain Ghoonghat Utha Raha Hoon Main 

Suhaag Raat Hain Ghoonghat Utha Raha Hoon Main 

Simat Rahi Hai Tu Sharma Ke Apni Baahon Mein 

Simat Rahi Hai Tu Sharma Ke Apni Baahon Mein 

KAbhi kabhi mere dil mai khayal ataaa hai... 

Copyright: Song Discussions Is Protected By U.s. Patent 9401941. Other Patents Pending.